Get All These Posts In Your Email

Enter your email address:

Delivered by Amrit

Monday, June 6, 2011

Apne Vaade

 
Humne apne vade kuch is tarah nibhaye hain,
Zakhm se baha lahu fir bhi muskurayein hain,

Unhe junun apna karz chukane ka,
Apni khushi apna wajud mitane ka
Hamain bhi shauq mohabbat aazmane ka,

Inhi haathon se unki sej sajayein hain
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.

Guzarish unki aankhe nam na ho meri,
Diya jo vada to na uff karenge kabhi,
Ashkon ke dariyon ko tham lenge yahi,

Koshish me hoton ne kitne ghav khayen hain,
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayen hain.

Dua hai ki ab zindagi me koi majburi na ho,
Jise tum milo us se ab koi duri na ho,
Meri tarah uski kismat adhuri na ho,

shaakh se gir kar kayi phool murjhayein hain,
zakhm se baha lahu fir bhi muskurayein hain.

-- Amrit
Apne VaadeSocialTwist Tell-a-Friend

No comments:

Contact Me

Name

Email *

Message *

Related Posts with Thumbnails